Friday, December 24, 2010

Jindagi

Jindagi samundar ki lahro ki tarah bal khati hai,
Kabhi es kinare se takrati hai, to kabhi us kinare se takrati hai,
Kabhi hawa k jhoko ki tarah door talak le jati hai,
Kabhi hasati hai jindagi , kabhi rulati hai jindagi,
Aur kabhi andheri raato se khamosh ho jati hai jindagi.
Kabhi sard hawa ki tarah phir se lahrati hai jindagi,
Kabhi es kinare se takrati hai, to kabhi us kinare se takrati hai,
Hamko jeene ka har dhang sikhati hai jindagi,
Samundar ki lahro ki tarah bhagti aur simat-ti hai jindagi,
Aur kabhi pas hote huwe bhi door ho jati hai jindagi,
Jis roop me dekho us roop me jeena sikhati hai jindagi,
Kabhi es kinare se takrati hai, to kabhi us kinare se takrati hai,
Kabhi hasati hai jindagi , kabhi rulati hai jindagi,
Hame Jeene ka har andaaj sikhati hai jindagi,
Kabhi hasati hai jindagi , kabhi rulati hai jindagi,
Kabhi es kinare se takrati hai, to kabhi us kinare se takrati hai,
                                                                              -Rahul


Kaisi lagi aap ko meri yah choti si rachna?

kab sudhroge bahi

ajeeb vidambana hai ki ham log chahte hai ki sab kam accha ho, government ye nahi karti , pani ki samasya hai,
sadko me jam hai, brastachar badh raha hai, bina paise k kam nahi hota hai,,,,,,,,na jane aisi kitni bate hai,,,,,,par
aap kabhi ye sochte hai ki ham kitna sahyog de rahe hai en sab ko sudharne me...........sayad ans.10% se bhi kam ho....koi kuch karna chahta hi nahi,,,yaha kewan ummed par rahte hai ya Bhagwan bharose,,,yah sab tab tak nahi badalega jab tak sab log sath nahi sochenge es disa me....sirf soche hi na usko parde par utare bhi ...
koi yatayat rules follow nahi karta batti jalne se pahle hi khud badte rahte hai bita kisi ki parwah kiye esme wahi log samil hai jo samajte hai ki ham kafi kabil hai par sachhai yah hai ki sabse bade JHAHIL wahi hai ,,,,,,,,khud galat kam karte hai aur phir SAMAJ, DESH balalne ki jisme hamare desh ke NASAMAJH netawo ki sankhaya bahut jyada hai jo desh ko DHARM, JATI aur PRANTO me vibhajit karte hai , bas jarurat hai to bas sabko apni jimmedari samajne ki aur thoda sahyog dene ki ...................aur sama kafi badla huwa haga................
to phir milte hai tab tak k liye Namaskar........thoda sa vichar kariyega........aur result aap k samne hoga...