Friday, December 24, 2010

Jindagi

Jindagi samundar ki lahro ki tarah bal khati hai,
Kabhi es kinare se takrati hai, to kabhi us kinare se takrati hai,
Kabhi hawa k jhoko ki tarah door talak le jati hai,
Kabhi hasati hai jindagi , kabhi rulati hai jindagi,
Aur kabhi andheri raato se khamosh ho jati hai jindagi.
Kabhi sard hawa ki tarah phir se lahrati hai jindagi,
Kabhi es kinare se takrati hai, to kabhi us kinare se takrati hai,
Hamko jeene ka har dhang sikhati hai jindagi,
Samundar ki lahro ki tarah bhagti aur simat-ti hai jindagi,
Aur kabhi pas hote huwe bhi door ho jati hai jindagi,
Jis roop me dekho us roop me jeena sikhati hai jindagi,
Kabhi es kinare se takrati hai, to kabhi us kinare se takrati hai,
Kabhi hasati hai jindagi , kabhi rulati hai jindagi,
Hame Jeene ka har andaaj sikhati hai jindagi,
Kabhi hasati hai jindagi , kabhi rulati hai jindagi,
Kabhi es kinare se takrati hai, to kabhi us kinare se takrati hai,
                                                                              -Rahul


Kaisi lagi aap ko meri yah choti si rachna?

No comments:

Post a Comment